na laiq-e-bud-o-bash hai ye na ja-e-kHwab-o-qayam hai ye
na lā.iq-e-būd-o-bāsh hai ye na jā-e-kHvāb-o-qayām hai ye
qadam baḌhā.e chalo jahāñ se ravā-ravī kā maqām hai ye
batā.ūñ kyā naza.a kā maiñ 'ālam 'ajīb qissa hai zindagī kā
vo kah rahe haiñ tamām hai ye maiñ kahtā huuñ nā-tamām hai ye
lahad kī zulmat ye kah rahī hai ki sone vaalo raho na ġhāfil
hai jis ke parde meñ sub.h-e-mahshar usī qayāmat kī shaam hai ye
lagī huī us ne dekhī hichkī to khīñch kar āh-e-sard bolā
nahīñ hai ab jaan us meñ baaqī ki koī dam meñ tamām hai ye
phaTī sī pagḌī jo dekhī sar par to hañs ke bolā vo 'arsh ham par
thī 'ahd-e-majnūñ meñ ek masjid usī kā shāyad imaam hai ye
na laiq-e-bud-o-bash hai ye na ja-e-kHwab-o-qayam hai ye
qadam baDhae chalo jahan se rawa-rawi ka maqam hai ye
bataun kya naza ka main 'alam 'ajib qissa hai zindagi ka
wo kah rahe hain tamam hai ye main kahta hun na-tamam hai ye
lahad ki zulmat ye kah rahi hai ki sone walo raho na ghafil
hai jis ke parde mein subh-e-mahshar usi qayamat ki sham hai ye
lagi hui us ne dekhi hichki to khinch kar aah-e-sard bola
nahin hai ab jaan us mein baqi ki koi dam mein tamam hai ye
phaTi si pagDi jo dekhi sar par to hans ke bola wo 'arsh hum par
thi 'ahd-e-majnun mein ek masjid usi ka shayad imam hai ye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.