kis se kahiye majra-e-dard-e-dil
kis se kahiye mājrā-e-dard-e-dil
māñgiye kis se davā-e-dard-e-dil
dar pe us 'īsā-nafas ke le chalo
ham bhī māñgeñge davā-e-dard-e-dil
āshnā bhī ho gayā nā āshnā
kar ke mujh ko āshnā-e-dard-e-dil
dard-e-dil meñ mubtalā hai ḳhud tabīb
ḳhaak vo degā davā-e-dard-e-dil
mar chuke ham aur kahte haiñ tabīb
hai abhī to ibtidā-e-dard-e-dil
har maraz kī haq ne paidā kī davā
kyuuñ na paidā kī davā.e dard dil
ahl-e-dil kī vo dukāneñ uTh ga.iiñ
jin meñ miltī thī davā-e-dard-e-dil
'ishq meñ us ke fanā ho jā.iye
vasl hī ik hai davā-e-dard-e-dil
apne rauza par bulā kar yā nabī
kaash sunte mājrā-e-dard-e-dil
'āshiqoñ meñ naam paanā hai to 'arsh'
haq se māñgā kar du’ā-e-dard-e-dil
kis se kahiye majra-e-dard-e-dil
mangiye kis se dawa-e-dard-e-dil
dar pe us 'isa-nafas ke le chalo
hum bhi mangenge dawa-e-dard-e-dil
aashna bhi ho gaya na aashna
kar ke mujh ko aashna-e-dard-e-dil
dard-e-dil mein mubtala hai KHud tabib
KHak wo dega dawa-e-dard-e-dil
mar chuke hum aur kahte hain tabib
hai abhi to ibtida-e-dard-e-dil
har maraz ki haq ne paida ki dawa
kyun na paida ki dawae dard dil
ahl-e-dil ki wo dukanen uTh gain
jin mein milti thi dawa-e-dard-e-dil
'ishq mein us ke fana ho jaiye
wasl hi ek hai dawa-e-dard-e-dil
apne rauza par bula kar ya nabi
kash sunte majra-e-dard-e-dil
'ashiqon mein nam pana hai to 'arsh'
haq se manga kar du’a-e-dard-e-dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.