nalha-e-hijr kis din rang la sakte nahin
nālhā-e-hijr kis din rañg lā sakte nahīñ
aag dāmāñ-e-shafaq meñ kab lagā sakte nahīñ
bū-e-gul ho yā ki ho mauj-e-nasīm-e-sub.h-e-dam
nā-tavāñ tere kisī kā naaz uThā sakte nahīñ
yuuñ 'ināyat ġhair par ho aur ham par jhiḌkiyāñ
taab us kī ab tire betāb lā sakte nahīñ
saḳhtiyāñ ham se sitam kī o sitamgar kuchh na pūchh
koh uTh saktā hai lekin ye uThā sakte nahīñ
'ishq meñ us nāznīñ ke mar ke haiñ nāzuk-mizāj
nāz-e-bār-e-chādar-e-gul ham uThā sakte nahīñ
kam nahīñ zindāñ se ham ko 'ishq meñ qaid-e-zabt
jaan kho sakte nahīñ aañsū bahā sakte nahīñ
sham.a raushan kī tarah haiñ soz-e-ġham se dahr meñ
aap ro sakte haiñ un ko ham rulā sakte nahīñ
vo agar parda-nashīñ haiñ dekhnā mushkil nahīñ
'aql se parda magar apne uThā sakte nahīñ
us ke kūcha meñ paḌe haiñ naqsh-e-pā kī tarh ham
ḳhud bhī uTh sakte nahīñ vo bhī uThā sakte nahīñ
mar ke jiinā kushta-e-chashm-e-fusūñ-gar kā muhāl
ye vo jaadū hai ki tum jis ko jagā sakte nahīñ
'arsh' mashq-e-sher chhūTī sohbateñ braham huiiñ
rañg taslīm-e-suḳhan-dāñ ab dikhā sakte nahīñ
nalha-e-hijr kis din rang la sakte nahin
aag daman-e-shafaq mein kab laga sakte nahin
bu-e-gul ho ya ki ho mauj-e-nasim-e-subh-e-dam
na-tawan tere kisi ka naz uTha sakte nahin
yun 'inayat ghair par ho aur hum par jhiDkiyan
tab us ki ab tere betab la sakte nahin
saKHtiyan hum se sitam ki o sitamgar kuchh na puchh
koh uTh sakta hai lekin ye uTha sakte nahin
'ishq mein us naznin ke mar ke hain nazuk-mizaj
naz-e-bar-e-chadar-e-gul hum uTha sakte nahin
kam nahin zindan se hum ko 'ishq mein qaid-e-zabt
jaan kho sakte nahin aansu baha sakte nahin
shama raushan ki tarah hain soz-e-gham se dahr mein
aap ro sakte hain un ko hum rula sakte nahin
wo agar parda-nashin hain dekhna mushkil nahin
'aql se parda magar apne uTha sakte nahin
us ke kucha mein paDe hain naqsh-e-pa ki tarh hum
KHud bhi uTh sakte nahin wo bhi uTha sakte nahin
mar ke jina kushta-e-chashm-e-fusun-gar ka muhaal
ye wo jadu hai ki tum jis ko jaga sakte nahin
'arsh' mashq-e-sher chhuTi sohbaten braham huin
rang taslim-e-suKHan-dan ab dikha sakte nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.