nahin pur-ashk ye aankhen kHayal-e-zulf-e-qatil mein
nahīñ pur-ashk ye āñkheñ kHayāl-e-zulf-e-qātil meñ
baḌī mushkil se do dariyā ko jakḌā hai salāsil meñ
nazar vaalo nahīñ ye daaġh hargiz māh-e-kāmil meñ
mirī āñkhoñ se dekho ye koī lailā hai mahmil meñ
hai 'ishq-e-abrū-e-pur-kHam nihāñ jab se mire dil meñ
mirī kashtī ravāñ rahtī hai āb-e-teġh-e-qātil meñ
ravānī dekh kar shamshīr-e-qātil kī huā dhokā
ki koī laal machhlī tairtī hai ḳhūn-e-bismil meñ
gul-e-sham-e-shabistāñ par huā fānūs meñ dhokā
ki koī gul-badan hai jalva-farmā nūr-e-manzil meñ
na din ko chain miltā hai na shab ko niiñd aatī hai
yahāñ ḳhurshīd kī sūrat nahīñ ārām manzil meñ
tasavvur yaar kā hamdard-e-dil hai roz-e-furqat bhī
yahī ik yaar sādiq thā jo kaam aayā hai mushkil meñ
tirī ulfat meñ kHurshīd-o-shafaq par ye guzartī hai
ki hai ye mubtalā tap meñ to vo hai mubtalā sil meñ
lahad meñ aake ham samjhe 'adam kī raah tai kar lī
kahā yāroñ ne pahuñche ho abhī tum pahlī manzil meñ
zamāna mo'tarif kyuuñ kar na ho ātish-bayānī kā
bharā karatā huuñ do ustād-e-fan kī ’arsh meñ chilmeñ
nahin pur-ashk ye aankhen kHayal-e-zulf-e-qatil mein
baDi mushkil se do dariya ko jakDa hai salasil mein
nazar walo nahin ye dagh hargiz mah-e-kaamil mein
meri aankhon se dekho ye koi laila hai mahmil mein
hai 'ishq-e-abru-e-pur-kHam nihan jab se mere dil mein
meri kashti rawan rahti hai aab-e-tegh-e-qatil mein
rawani dekh kar shamshir-e-qatil ki hua dhoka
ki koi lal machhli tairti hai KHun-e-bismil mein
gul-e-sham-e-shabistan par hua fanus mein dhoka
ki koi gul-badan hai jalwa-farma nur-e-manzil mein
na din ko chain milta hai na shab ko nind aati hai
yahan KHurshid ki surat nahin aaram manzil mein
tasawwur yar ka hamdard-e-dil hai roz-e-furqat bhi
yahi ek yar sadiq tha jo kaam aaya hai mushkil mein
teri ulfat mein kHurshid-o-shafaq par ye guzarti hai
ki hai ye mubtala tap mein to wo hai mubtala sil mein
lahad mein aake hum samjhe 'adam ki rah tai kar li
kaha yaron ne pahunche ho abhi tum pahli manzil mein
zamana mo'tarif kyun kar na ho aatish-bayani ka
bhara karata hun do ustad-e-fan ki ’arsh mein chilmen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.