masiha kahan ho tumhein kya hua hai
masīhā kahāñ ho tumheñ kyā huā hai
jigar kā bhī nāsūr achchhā huā hai
huī qais kī aañkh lailā se raushan
añdhere se paidā ujālā huā hai
abhī kal to muusā ke tum rū-ba-rū the
hue chand din ye jo pardā huā hai
manāo to rūTheñ na bolo to boleñ
hamārā ye sab āzmāyā huā hai
hai gor-e-ġharībāñ pe ye fakHr un ko
ki ye shahr merā basāyā huā hai
khīñche phirte haiñ aap hī aap mujh se
na jhagḌā huā hai na qissa huā hai
yahāñ dam nikaltā hai vo kah rahe haiñ
abhī kyā huā hai abhī kyā huā hai
usī ne yahāñ muñh kī khaa.ī hai ik din
jo favvāra kī tarah ūñchā huā hai
basān-e-qalam safha-e-dahr se uTh
kahāñ misl-e-nuqta tū baiThā huā hai
ye tahrīk kā 'arsh terī sabab thā
gayā maiñ jo is fan kā charchā huā hai
masiha kahan ho tumhein kya hua hai
jigar ka bhi nasur achchha hua hai
hui qais ki aankh laila se raushan
andhere se paida ujala hua hai
abhi kal to musa ke tum ru-ba-ru the
hue chand din ye jo parda hua hai
manao to ruThen na bolo to bolen
hamara ye sab aazmaya hua hai
hai gor-e-ghariban pe ye fakHr un ko
ki ye shahr mera basaya hua hai
khinche phirte hain aap hi aap mujh se
na jhagDa hua hai na qissa hua hai
yahan dam nikalta hai wo kah rahe hain
abhi kya hua hai abhi kya hua hai
usi ne yahan munh ki khai hai ek din
jo fawwara ki tarah uncha hua hai
basan-e-qalam safha-e-dahr se uTh
kahan misl-e-nuqta tu baiTha hua hai
ye tahrik ka 'arsh teri sabab tha
gaya main jo is fan ka charcha hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.