numayan shan-e-kasrat hi mein wahdat ka tamasha hai
numāyāñ shān-e-kasrat hī meñ vahdat kā tamāsha hai
haiñ qatre chand yakjā jis ko tum kahte ho dariyā hai
vafāoñ par jafā karte ho sāhib vaah kyā kahnā
yahī rasm-e-zamāna hai isī kā naam duniyā hai
jo hasrat hai koī dil meñ to hai dīdār kī hasrat
tamannā hai koī baaqī to marne kī tamannā hai
huiiñ jab band āñkheñ khul gayā har raaz pinhānī
añdhere meñ ujālā hai ujāle meñ añdherā hai
jahāñ bulbul bajā.e naġhma sanjī paḌhtī hai nauha
usī gulshan meñ mujh be-bāl-o-par kā āshiyāna hai
agar vo aa nahīñ sakte to maiñ bhī jā nahīñ saktā
udhar mehñdī lagā.ī hai idhar talvoñ meñ kāñTā hai
maiñ goyā safha-e-hastī pe ik tasvīr-e-fānī huuñ
na ab jiine kī hasrat hai na marne kī tamannā hai
ye kyā tum ne kahā maiñ 'arsh se bilkul nahīñ vāqif
'nasīm' dehlavī kā hind meñ vo nām-levā hai
numayan shan-e-kasrat hi mein wahdat ka tamasha hai
hain qatre chand yakja jis ko tum kahte ho dariya hai
wafaon par jafa karte ho sahib wah kya kahna
yahi rasm-e-zamana hai isi ka nam duniya hai
jo hasrat hai koi dil mein to hai didar ki hasrat
tamanna hai koi baqi to marne ki tamanna hai
huin jab band aankhen khul gaya har raaz pinhani
andhere mein ujala hai ujale mein andhera hai
jahan bulbul bajae naghma sanji paDhti hai nauha
usi gulshan mein mujh be-baal-o-par ka aashiyana hai
agar wo aa nahin sakte to main bhi ja nahin sakta
udhar mehndi lagai hai idhar talwon mein kanTa hai
main goya safha-e-hasti pe ek taswir-e-fani hun
na ab jine ki hasrat hai na marne ki tamanna hai
ye kya tum ne kaha main 'arsh se bilkul nahin waqif
'nasim' dehlawi ka hind mein wo nam-lewa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.