ye jo saz-e-mutrib ki aawaz hai
ye jo sāz-e-mutrib kī āvāz hai
ḳhudā kī ḳhudā.ī kā ik raaz hai
paTaktā huuñ sar us ke qadmoñ pe maiñ
vo kahtā hai kyā terā andāz hai
haqīqat khulī is tarah 'ishq kī
vahī ḳhātima hai jo āġhāz hai
sar-e-bazm koī nahīñ hosh meñ
tire saaz meñ kaisī āvāz hai
the jo ‘ġhālib’-o-'momin’-o-'mīr’ 'dard'
ġhazal meñ mirī un kā andāz hai
Darūñ mo'tariz se maiñ ai 'arsh kyā
mujhe be-kamālī pe jab naaz hai
ye jo saz-e-mutrib ki aawaz hai
KHuda ki KHudai ka ek raaz hai
paTakta hun sar us ke qadmon pe main
wo kahta hai kya tera andaz hai
haqiqat khuli is tarah 'ishq ki
wahi KHatima hai jo aaghaz hai
sar-e-bazm koi nahin hosh mein
tere saz mein kaisi aawaz hai
the jo ‘ghaalib’-o-'momin’-o-'mir’ 'dard'
ghazal mein meri un ka andaz hai
Darun mo'tariz se main ai 'arsh kya
mujhe be-kamali pe jab naz hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.