gada ka na hoga pata shah ka
gadā kā na hogā pata shaah kā
rahegā faqat naam allāh kā
fanā kī vo manzil hai o be-ḳhabar
nishāñ koh kā hai na hai kaah kā
jo Duubā tirī chaah meñ o parī
usī ko milā hai mazā chaah kā
'ajab kashmakash meñ huuñ ai zabt-e-ġham
na girya kā yaarā na hai aah kā
'adam meñ bhaTaktā phirā qāfila
na manzil se paayā patā raah kā
maiñ muñh dekh kar ro paḌā un kā 'arsh'
dabāyā galā zo'f ne aah kā
gada ka na hoga pata shah ka
rahega faqat nam allah ka
fana ki wo manzil hai o be-KHabar
nishan koh ka hai na hai kah ka
jo Duba teri chah mein o pari
usi ko mila hai maza chah ka
'ajab kashmakash mein hun ai zabt-e-gham
na girya ka yara na hai aah ka
'adam mein bhaTakta phira qafila
na manzil se paya pata rah ka
main munh dekh kar ro paDa un ka 'arsh'
dabaya gala zo'f ne aah ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.