arsh-o-kursi pe to anjaan bane baiThe hain
arsh-o-kursī pe to anjān bane baiThe haiñ
mere qālib meñ mirī jaan bane baiThe haiñ
kahīñ vājib kahīñ imkān bane baiThe haiñ
kahīñ ḳhāliq kahīñ insān bane baiThe haiñ
rag-e-jāñ meñ to mirī jaan bane baiThe haiñ
dil hai ḳhush-qat' to mehmān bane baiThe haiñ
rose jalva hai nayā rose nayā ek banāo
kullu-yaumin huva-fī-shān bane baiThe haiñ
jānte haiñ vo mujhe ḳhuub ki āshiq hai mirā
is shanāsā.ī par anjān bane baiThe haiñ
chashm-e-kāfir meñ haiñ tasvīr-e-but-e-but-e-ġhārat-gar
dil-e-momin meñ vo īmān bane baiThe haiñ
de ke fiqarā yahī kal le ga.e the dil merā
aaj kyā hai ki jo nādān bane baiThe haiñ
aap bikhrā.iye haañ shauq se ruḳh par gesū
sub.h se ham bhī pareshān bane baiThe haiñ
ḳhair hai kaun se a.alam meñ haiñ aap ai 'akbar'
kis ko dekhā hai jo hairān bane baiThe haiñ
arsh-o-kursi pe to anjaan bane baiThe hain
mere qalib mein meri jaan bane baiThe hain
kahin wajib kahin imkan bane baiThe hain
kahin KHaliq kahin insan bane baiThe hain
rag-e-jaan mein to meri jaan bane baiThe hain
dil hai KHush-qat' to mehman bane baiThe hain
rose jalwa hai naya rose naya ek banao
kullu-yaumin huwa-fi-shan bane baiThe hain
jaante hain wo mujhe KHub ki aashiq hai mera
is shanasai par anjaan bane baiThe hain
chashm-e-kafir mein hain taswir-e-but-e-but-e-ghaarat-gar
dil-e-momin mein wo iman bane baiThe hain
de ke fiqara yahi kal le gae the dil mera
aaj kya hai ki jo nadan bane baiThe hain
aap bikhraiye han shauq se ruKH par gesu
subh se hum bhi pareshan bane baiThe hain
KHair hai kaun se aalam mein hain aap ai 'akbar'
kis ko dekha hai jo hairan bane baiThe hain
- Book : Jazbat-e-Akbar (Pg. 77)
- Author :Shah Akbar Danapuri
- Publication : Agra Akhbar Press, Agra (1915)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.