gham-e-hayat ki manzil se par ho jaun
ġham-e-hayāt kī manzil se paar ho jā.ūñ
jo be-qarār haiñ un kā qarār ho jā.ūñ
ḳhizāñ ke daur ne jhulsā ke rakh diyā hai mujhe
bahār aa.e to nazr-e-bahār ho jā.ūñ
mile jo sāqī-e-jānāñ ke haath se sāġhar
qasam ḳhudā kī maiñ nazr-e-ḳhumār ho jā.ūñ
dayār-e-’shq-o-mohabbat hai chal adab se yahāñ
Thahar nasīm gul-e-nau bahār ho jā.ūñ
husain ibn-e-'alī kī mohabbatoñ ke nisār
salām jab bhī paḌhūñ ashk-bār ho jā.ūñ
huzūr jin se kiyā karte the hijāb 'arshad'
unheñ kyā sadqa mile parda-dār ho jā.ūñ
gham-e-hayat ki manzil se par ho jaun
jo be-qarar hain un ka qarar ho jaun
KHizan ke daur ne jhulsa ke rakh diya hai mujhe
bahaar aae to nazr-e-bahaar ho jaun
mile jo saqi-e-jaanan ke hath se saghar
qasam KHuda ki main nazr-e-KHumar ho jaun
dayar-e-’shq-o-mohabbat hai chal adab se yahan
Thahar nasim gul-e-nau bahaar ho jaun
husain ibn-e-'ali ki mohabbaton ke nisar
salam jab bhi paDhun ashk-bar ho jaun
huzur jin se kiya karte the hijab 'arshad'
unhen kya sadqa mile parda-dar ho jaun
- Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 67)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.