arz kar deta hun us se haal-e-dil
arz kar detā huuñ us se hāl-e-dil
vo mirā dam-sāz kuchh hai to sahī
maiñ tire husn-e-tabassum ke nisār
lutf kā andāz kuchh hai to sahī
dard kī daulat mayassar hai mujhe
dil amīn-e-rāz kuchh hai to sahī
mil rahā hai ik-na-ik ġham kā payām
ziist kā āġhāz kuchh hai to sahī
ishq ke naġhme haiñ har shām-o-sahar
dil meñ soz-o-sāz kuchh hai to sahī
zindagī hai ma.asiyat kā ā.īna
phir bhī us par naaz kuchh hai to sahī
faiz-e-'hāfiz' se hamāre jaam meñ
bāda-e-shīrāz kuchh hai to sahī
vo bhī 'sādiq' gosh-bar-āvāz haiñ
ab merī āvāz kuchh hai to sahī
arz kar deta hun us se haal-e-dil
wo mera dam-saz kuchh hai to sahi
main tere husn-e-tabassum ke nisar
lutf ka andaz kuchh hai to sahi
dard ki daulat mayassar hai mujhe
dil amin-e-raaz kuchh hai to sahi
mil raha hai ik-na-ik gham ka payam
zist ka aaghaz kuchh hai to sahi
ishq ke naghme hain har sham-o-sahar
dil mein soz-o-saz kuchh hai to sahi
zindagi hai masiyat ka aaina
phir bhi us par naz kuchh hai to sahi
faiz-e-'hafiz' se hamare jam mein
baada-e-shiraaz kuchh hai to sahi
wo bhi 'sadiq' gosh-bar-awaz hain
ab meri aawaz kuchh hai to sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.