musibat par musibat jhelte hain dukh bhi sahte hain
musibat par musibat jhelte hain dukh bhi sahte hain
Asad Barrackpuri
MORE BYAsad Barrackpuri
musībat par musībat jhelte haiñ dukh bhī sahte haiñ
magar is par bhī apnī shān-e-sultānī nahīñ jaatī
abhī ġham duur ho sab kā masarrat sab ko ho hāsil
magar ahl-e-ḳhirad kī baat hī maanī nahīñ jaatī
faqat ik baar dekhī thī jhalak parde hī parde haiñ
magar āñkhoñ se vo tasvīr-e-nūrānī nahīñ jaatī
'asad' ye jaan lo tum rañg lā.egī zarūr ik din
kisī mazlūm kī be-kār qurbānī nahīñ jaatī
musibat par musibat jhelte hain dukh bhi sahte hain
magar is par bhi apni shan-e-sultani nahin jati
abhi gham dur ho sab ka masarrat sab ko ho hasil
magar ahl-e-KHirad ki baat hi mani nahin jati
faqat ek bar dekhi thi jhalak parde hi parde hain
magar aankhon se wo taswir-e-nurani nahin jati
'asad' ye jaan lo tum rang laegi zarur ek din
kisi mazlum ki be-kar qurbani nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.