jab se dil shaida hua hai us but-e-be-pir ka
jab se dil shaidā huā hai us but-e-be-pīr kā
bādshāh maiñ ban gayā huuñ rañj kī jāgīr kā
dekh kar tasvīr apnī ban ga.e tasvīr vo
kHuub jhagḌā hogā ab tasvīr se tasvīr kā
hai sar-e-bālīñ masīhā aur malik-ul-maut bhī
ab taqāzā dekhnā tadbīr se taqdīr kā
ḳhaak pā-e-dil-rubā laanā tabībo DhūñDh kar
kaam miTTī se liyā jaatā hai ab iksīr kā
kis ko DhūñDūñ kaun ai 'asġhar' paḌhe tahrīr ko
kuchh paḌhā jaatā nahīñ likhā merī taqdīr kā
jab se dil shaida hua hai us but-e-be-pir ka
baadshah main ban gaya hun ranj ki jagir ka
dekh kar taswir apni ban gae taswir wo
kHub jhagDa hoga ab taswir se taswir ka
hai sar-e-baalin masiha aur malik-ul-maut bhi
ab taqaza dekhna tadbir se taqdir ka
KHak pa-e-dil-ruba lana tabibo DhunDh kar
kaam miTTi se liya jata hai ab iksir ka
kis ko DhunDun kaun ai 'asghar' paDhe tahrir ko
kuchh paDha jata nahin likha meri taqdir ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.