Sufinama

gar KHuda kaba mein rahta hai to but-KHane mein kaun

Asghar Nizami

gar KHuda kaba mein rahta hai to but-KHane mein kaun

Asghar Nizami

MORE BYAsghar Nizami

    gar ḳhudā ka.aba meñ rahtā hai to but-ḳhāne meñ kaun

    har hai gañgā jal meñ to zamzam ke paimāne meñ kaun

    qais ko jab le chale bastī jānib yuuñ kahā

    lailā ābādī meñ rahtī hai to vīrāne meñ kaun

    daar par us ko chaḌhāyā par na ye samjhā koī

    thā anal-haq kah rahā mansūr dīvāne meñ kaun

    kis se bāteñ kar rahā hai mujh ko bhī zāhid dikhā

    chhup ke baiThā hai terī tasbīh ke daane meñ kaun

    ho ke tum pīr-e-muġhāñ masjid ko 'asġhar' chal diye

    ye to batlāo ki ab jā.egā mai-ḳhāne meñ kaun

    gar KHuda kaba mein rahta hai to but-KHane mein kaun

    har hai ganga jal mein to zamzam ke paimane mein kaun

    qais ko jab le chale basti ki jaanib yun kaha

    laila aabaadi mein rahti hai to virane mein kaun

    dar par us ko chaDhaya par na ye samjha koi

    tha anal-haq kah raha mansur diwane mein kaun

    kis se baaten kar raha hai mujh ko bhi zahid dikha

    chhup ke baiTha hai teri tasbih ke dane mein kaun

    ho ke tum pir-e-mughan masjid ko 'asghar' chal diye

    ye to batlao ki ab jaega mai-KHane mein kaun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now