wahi but ban ke baiTha hai kisi ka raaz-dan ho kar
vahī but ban ke baiThā hai kisī kā rāz-dāñ ho kar
vahī girje ke ghanTa meñ hai poshīda zabāñ ho kar
vo man meñ sañkh ke baiThā hai mandir meñ nihāñ ho kar
musalmānoñ kī masjid se nikaltā hai azaañ ho kar
usī ne suulī dilvā.ī anal-haq vahī bolā thā
vahī mansūr ke muñh meñ thā poshīda zabāñ ho kar
vahī baiThā huā thā kaaf meñ aur nuun meñ chhup kar
vahī kun kah ke ḳhud ban aayā thā kaun-o-makāñ ho kar
bulāyā us ne kis ko thā shab-e-me.arāj ḳhud hī thā
vahī ik pal meñ aayā thā zamīñ se āsmāñ ho kar
'alī 'asġhar' ke lāsha par kahā hasrat ne ro-ro kar
ye aa.e be-zabāñ the aur ga.e bhī be-zabāñ ho kar
wahi but ban ke baiTha hai kisi ka raaz-dan ho kar
wahi girje ke ghanTa mein hai poshida zaban ho kar
wo man mein sankh ke baiTha hai mandir mein nihan ho kar
musalmanon ki masjid se nikalta hai azan ho kar
usi ne suli dilwai anal-haq wahi bola tha
wahi mansur ke munh mein tha poshida zaban ho kar
wahi baiTha hua tha kaf mein aur nun mein chhup kar
wahi kun kah ke KHud ban aaya tha kaun-o-makan ho kar
bulaya us ne kis ko tha shab-e-mearaj KHud hi tha
wahi ek pal mein aaya tha zamin se aasman ho kar
'ali 'asghar' ke lasha par kaha hasrat ne ro-ro kar
ye aae be-zaban the aur gae bhi be-zaban ho kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.