na paya kuchh pata us ka KHuda jaane kahan hai wo
na paayā kuchh pata us kā ḳhudā jaane kahāñ hai vo
zamāne bhar meñ DhūñDh aayā ḳhudā jaane kahāñ hai vo
muazzin se jo pūchhā haath rakh kar us ne kānoñ par
kahā mujh ko ḳhabar hai kyā ḳhudā jaane kahāñ hai vo
use mandir meñ DhūñDh aayā use masjid meñ dekh aayā
nahīñ miltā nishāñ us kā ḳhudā jaane kahāñ hai vo
use maiñ ban ke 'āshiq saare mā'shūqoñ meñ DhūñDh aayā
nazar aayā na kuchh jalva ḳhudā jaane kahāñ hai vo
zamīn-o-āsmāñ kaun-o-makāñ dair-o-haram dekhā
nahīñ miltā pata us kā ḳhudā jaane kahāñ hai vo
papīhā pī kahāñ bolā kahā koyal ne tū hī tū
samajh meñ kuchh nahīñ aatā ḳhudā jaane kahāñ hai tū
kahāñ se pī ke aa.e ho bahut bahke ho tum 'asġhar'
kahāñ banda kahāñ maulā ḳhudā jaane kahāñ hai tū
na paya kuchh pata us ka KHuda jaane kahan hai wo
zamane bhar mein DhunDh aaya KHuda jaane kahan hai wo
muazzin se jo puchha hath rakh kar us ne kanon par
kaha mujh ko KHabar hai kya KHuda jaane kahan hai wo
use mandir mein DhunDh aaya use masjid mein dekh aaya
nahin milta nishan us ka KHuda jaane kahan hai wo
use main ban ke 'ashiq sare ma'shuqon mein DhunDh aaya
nazar aaya na kuchh jalwa KHuda jaane kahan hai wo
zamin-o-asman kaun-o-makan dair-o-haram dekha
nahin milta pata us ka KHuda jaane kahan hai wo
papiha pi kahan bola kaha koyal ne tu hi tu
samajh mein kuchh nahin aata KHuda jaane kahan hai tu
kahan se pi ke aae ho bahut bahke ho tum 'asghar'
kahan banda kahan maula KHuda jaane kahan hai tu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.