tu dil mein hai ab sanson ki nikhat hi alag hai
tu dil mein hai ab sanson ki nikhat hi alag hai
Shabnam Ghazanfari
MORE BYShabnam Ghazanfari
tū dil meñ hai ab sāñsoñ kī nik.hat hī alag hai
andāz mirā terī badaulat hī alag hai
jo maiñ ne kamā.ī hai vo daulat to hai be-shak
lekin jo tirā ġham hai vo daulat hī alag hai
mahfil meñ jo aatā hai vo dikhtā hai barābar
lekin yahāñ valiyoñ kī to shirkat hī alag hai
kaise koī ho jaa.e na qurbān-e-qiyāmat
jab un kī adāoñ kī qiyāmat hī alag hai
dhan māñgte sab haiñ ye to dil maañg rahā hai
mañgtā hai magar us kī zarūrat hī alag hai
kyā siine meñ un ke mire māñ-bāp kā dil hai
'shabnam' mire nashtar kī mohabbat hī alag hai
tu dil mein hai ab sanson ki nikhat hi alag hai
andaz mera teri badaulat hi alag hai
jo main ne kamai hai wo daulat to hai be-shak
lekin jo tera gham hai wo daulat hi alag hai
mahfil mein jo aata hai wo dikhta hai barabar
lekin yahan waliyon ki to shirkat hi alag hai
kaise koi ho jae na qurban-e-qiyamat
jab un ki adaon ki qiyamat hi alag hai
dhan mangte sab hain ye to dil mang raha hai
mangta hai magar us ki zarurat hi alag hai
kya sine mein un ke mere man-bap ka dil hai
'shabnam' mere nashtar ki mohabbat hi alag hai
- Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 27)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.