ishq par rang tere husn ki yaktai ka
'ishq par rañg tire husn kī yaktā.ī kā
koī kaise na ho shaidā tire shaidā.ī kā
tū ne sajde kiye sajdoñ pe magar fakHr na kar
abhī baaqī hai savāl us kī pazīrā.ī kā
aag kyā paanī kī sāthī hai haTā do is ko
'ishq ke saath meñ kyā kaam hai dānā.ī kā
lene aa.ī hai qazā jaanā hai mahbūb ke ghar
aaj mātam nahīñ mauqa.a hai ye shahnā.ī kā
us se milnā hai magar kaise miloge 'shabnam'
kab kahāñ hai vo Thikāna nahīñ harjā.ī kā
'ishq par rang tere husn ki yaktai ka
koi kaise na ho shaida tere shaidai ka
tu ne sajde kiye sajdon pe magar fakHr na kar
abhi baqi hai sawal us ki pazirai ka
aag kya pani ki sathi hai haTa do is ko
'ishq ke sath mein kya kaam hai danai ka
lene aai hai qaza jaana hai mahbub ke ghar
aaj matam nahin mauqa hai ye shahnai ka
us se milna hai magar kaise miloge 'shabnam'
kab kahan hai wo Thikana nahin harjai ka
- Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 28)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.