dard-e-dil ki ru-numai hai ghazal
dard-e-dil kī rū-numā.ī hai ġhazal
dil kī dhaḌkan meñ samā.ī hai ġhazal
husn kī mid.hat-sarā.ī hai ġhazal
ishq ko to ḳhuuñ rulā.ī hai ġhazal
ġham-zada insāñ taḌap kar rah ga.e
ḳhūn-e-dil meñ jab nahā.ī hai ġhazal
mas.aloñ kā hal nikal kar āgayā
mas.aloñ kā hal batā.ī hai ġhazal
mai-kashoñ kī mai-kahsī hai dosto
pārsā kī pārsā.ī hai ġhazal
zindagī bhī gungunāne lag ga.ī
aap ne jab gungunā.ī hai ġhazal
ġham se jo hāsil huī 'asfī' mujhe
mere jazboñ kī kamā.ī hai ġhazal
dard-e-dil ki ru-numai hai ghazal
dil ki dhaDkan mein samai hai ghazal
husn ki midhat-sarai hai ghazal
ishq ko to KHun rulai hai ghazal
gham-zada insan taDap kar rah gae
KHun-e-dil mein jab nahai hai ghazal
masalon ka hal nikal kar aagaya
masalon ka hal batai hai ghazal
mai-kashon ki mai-kahsi hai dosto
parsa ki parsai hai ghazal
zindagi bhi gungunane lag gai
aap ne jab gungunai hai ghazal
gham se jo hasil hui 'asfi' mujhe
mere jazbon ki kamai hai ghazal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.