paikar-e-mom tha kuchh ’azm dikhaya maine
paikar-e-mom thā kuchh 'azm dikhāyā maiñ ne
husn vaale tujhe patthar sā hī paayā maiñ ne
kar sakī ruuh mo'attar na merī tū aa kar
paañv nik.hat terī jānib bhī baḌhāyā maiñ ne
maiñ ye suntā thā ki kāñTe hī chubhan dete haiñ
zaḳhm phūloñ se magar dekhiye khāyā maiñ ne
log to sho'ala-e-ātish se Darā karte haiñ
ḳhud ko shabnam se sar-e-bazm jalāyā maiñ ne
ab ḳhushī aur kahāñ jā ke milegī mujh ko
tohfa-e-ġham to masarrat se hī paayā maiñ ne
maiñ terī chaah meñ ai ziist vahāñ tak pahuñchā
haath bhī maut ke hāthoñ se milāyā maiñ ne
kahtā 'āsif' hai ye nā-kām-e-tamannā ho kar
jazba-e-dil tujhe be-kār gañvāyā maiñ ne
paikar-e-mom tha kuchh 'azm dikhaya main ne
husn wale tujhe patthar sa hi paya main ne
kar saki ruh mo'attar na meri tu aa kar
panw nikhat teri jaanib bhi baDhaya main ne
main ye sunta tha ki kanTe hi chubhan dete hain
zaKHm phulon se magar dekhiye khaya main ne
log to sho'ala-e-atish se Dara karte hain
KHud ko shabnam se sar-e-bazm jalaya main ne
ab KHushi aur kahan ja ke milegi mujh ko
tohfa-e-gham to masarrat se hi paya main ne
main teri chah mein ai zist wahan tak pahuncha
hath bhi maut ke hathon se milaya main ne
kahta 'asif' hai ye na-kaam-e-tamanna ho kar
jazba-e-dil tujhe be-kar ganwaya main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.