samai dil mein jo teri mohabbat hai
samā.ī dil meñ jo terī mohabbat hai
milī mujh ko ye aadam kī virāsat hai
pahuñch saktā koī ’āqil nahīñ jis jā
vahāñ tak tere shaidā ko ijāzat hai
faqat 'āshiq pe khulte haiñ rumūz-e-husn
rahe parda bhī ye rab kī mashiyyat hai
nahīñ samjheñge zāhid tere jalvoñ ko
fasāna kyā hai terī kyā haqīqat hai
yuuñ guzrī hai firāq-e-shab-girāñ mujh par
khaḌī ho sar pe jaise ik qiyāmat hai
haiñ āñkhoñ meñ base aise manāzir kuchh
yaqīnan hech jin ke aage jannat hai
ye kah lene do ab 'āsif' na roko tum
mujhe pyārī mire dilbar kī sūrat hai
samai dil mein jo teri mohabbat hai
mili mujh ko ye aadam ki wirasat hai
pahunch sakta koi ’aqil nahin jis ja
wahan tak tere shaida ko ijazat hai
faqat 'ashiq pe khulte hain rumuz-e-husn
rahe parda bhi ye rab ki mashiyyat hai
nahin samjhenge zahid tere jalwon ko
fasana kya hai teri kya haqiqat hai
yun guzri hai firaq-e-shab-giran mujh par
khaDi ho sar pe jaise ek qiyamat hai
hain aankhon mein base aise manazir kuchh
yaqinan hech jin ke aage jannat hai
ye kah lene do ab 'asif' na roko tum
mujhe pyari mere dilbar ki surat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.