ishq se aazad hona chahta hai
'ishq se āzād honā chāhtā hai
husn kyā barbād honā chāhtā hai
ġham bhulā kar shaad honā chāhtā hai
merā dil ābād honā chāhtā hai
vaqt kā zālim na.ī jannat banā kar
aaj kā shaddād honā chāhtā hai
apne pīchhe aaTh nau rakhtā hai jo bhī
vo baḌī ta’adād honā chāhtā hai
aap kī mīlād hai mīlād-e-akbar
aap kā mīlād honā chāhtā hai
is tarah barbād karte haiñ vo 'mājid'
har koī barbād honā chāhtā hai
'ishq se aazad hona chahta hai
husn kya barbaad hona chahta hai
gham bhula kar shad hona chahta hai
mera dil aabaad hona chahta hai
waqt ka zalim nai jannat bana kar
aaj ka shaddad hona chahta hai
apne pichhe aaTh nau rakhta hai jo bhi
wo baDi ta’adad hona chahta hai
aap ki milad hai milad-e-akbar
aap ka milad hona chahta hai
is tarah barbaad karte hain wo 'majid'
har koi barbaad hona chahta hai
- Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 150)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.