batlaun tumko kya hai aabid ke aansuon mein
batlā.ūñ tum ko kyā hai 'ābid ke āñsuoñ meñ
islām ro rahā hai 'ābid ke āñsuoñ meñ
havvā huuñ aamna huuñ zahrā huuñ yā ḳhadīja
dil un kā ro rahā hai 'ābid ke āñsuoñ meñ
ashkoñ meñ kitnī tāqat hotī hai kuchh pata hai
ik taḳht bah gayā hai 'ābid ke āñsuoñ meñ
mā ba.ad karbalā kī ’uryāniyāñ na pūchho
har shaam be-ridā hai 'ābid ke āñsuoñ meñ
vo aañkh be-hayā hai mar jaaye jis kā paanī
islām kī hayā hai 'ābid ke āñsuoñ meñ
sab ġham ke hī nahīñ haiñ kuchh haiñ ḳhushī ke aañsū
islām kī baqā hai 'ābid ke āñsuoñ meñ
ġharqāb hogā us meñ har ik yazīdī 'mājid'
tūfān-e-ġham chhupā hai 'ābid ke āñsuoñ meñ
batlaun tum ko kya hai 'abid ke aansuon mein
islam ro raha hai 'abid ke aansuon mein
hawwa hun aamna hun zahra hun ya KHadija
dil un ka ro raha hai 'abid ke aansuon mein
ashkon mein kitni taqat hoti hai kuchh pata hai
ek taKHt bah gaya hai 'abid ke aansuon mein
ma baad karbala ki ’uryaniyan na puchho
har sham be-rida hai 'abid ke aansuon mein
wo aankh be-haya hai mar jaye jis ka pani
islam ki haya hai 'abid ke aansuon mein
sab gham ke hi nahin hain kuchh hain KHushi ke aansu
islam ki baqa hai 'abid ke aansuon mein
gharqab hoga us mein har ek yazidi 'majid'
tufan-e-gham chhupa hai 'abid ke aansuon mein
- Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 156)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.