har kisi ko dekho mat tum hoga nuqsan-e-jamal
har kisī ko dekho mat tum hogā nuqsān-e-jamāl
mustafā kī samt dekho dekho faizān-e-jamāl
ḳhulq meñ atvār meñ kirdār meñ ausāf meñ
mustafā kī zaat hai me.aar mīzān-e-jamāl
hashr meñ barseñgī rahmat kī ghaTā.eñ jhuum kar
abr ban kar chhā.eñge gesū-e-sultān-e-jamāl
farsh par ġhash khā.eñ muusā 'arsh par pahuñcheñ huzūr
hai udhar shān-e-jalālī aur idhar shān-e-jamāl
mustafā se baḌh ke koī ḳhūbsūrat hī nahīñ
hai nabī kī dāstāñ ko zeb ’unvān-e-jamāl
jin se rab raazī huā aur jin se ḳhush haiñ mustafā
un ke hī siine meñ rakhā rab ne qur.ān-e-jamāl
mustafā kī aal kā ehsān 'mājid' kuchh na pūchh
karbalā meñ nazr-e-dīñ hai saarā bustān-e-jamāl
har kisi ko dekho mat tum hoga nuqsan-e-jamal
mustafa ki samt dekho dekho faizan-e-jamal
KHulq mein atwar mein kirdar mein ausaf mein
mustafa ki zat hai mear mizan-e-jamal
hashr mein barsengi rahmat ki ghaTaen jhum kar
abr ban kar chhaenge gesu-e-sultan-e-jamal
farsh par ghash khaen musa 'arsh par pahunchen huzur
hai udhar shan-e-jalali aur idhar shan-e-jamal
mustafa se baDh ke koi KHubsurat hi nahin
hai nabi ki dastan ko zeb ’unwan-e-jamal
jin se rab raazi hua aur jin se KHush hain mustafa
un ke hi sine mein rakha rab ne quran-e-jamal
mustafa ki aal ka ehsan 'majid' kuchh na puchh
karbala mein nazr-e-din hai sara bustan-e-jamal
- Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 161)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.