tere husn ne diya KHud tujhe zauq-e-kHud-pasandi
tire husn ne diyā ḳhud tujhe zauq-e-kHud-pasandī
ye hai aur baat mujrim hai mirī niyāz-mandī
maiñ vo rāh-rau ki ka.aba bhī hai sañg-e-mīl jis ko
kahīñ gum na kar de apnī yahī intihā-pasandī
jahāñ barq kauñdtī hai vahīñ āshiyāñ banāyā
ye mire junūñ kī himmat ye mirī ḳhatar-pasandī
ye guloñ meñ bel-būTe ye falak pe chāñd-tāre
ye tirā kamāl-e-san'at ye kamāl-e-naqsh-bandī
ye junūñ kī thī karāmat ki milā svād-e-manzil
mire kaam kuchh bhī aa.ī na ḳhudī kī hosh-mandī
mire saada sheroñ meñ bhī haiñ 'atā' farāz ma.anī
inhīñ pastiyoñ meñ DhūñDo mare fikr kī bulandī
tere husn ne diya KHud tujhe zauq-e-kHud-pasandi
ye hai aur baat mujrim hai meri niyaz-mandi
main wo rah-rau ki kaba bhi hai sang-e-mil jis ko
kahin gum na kar de apni yahi intiha-pasandi
jahan barq kaundti hai wahin aashiyan banaya
ye mere junun ki himmat ye meri KHatar-pasandi
ye gulon mein bel-buTe ye falak pe chand-tare
ye tera kamal-e-san'at ye kamal-e-naqsh-bandi
ye junun ki thi karamat ki mila swad-e-manzil
mere kaam kuchh bhi aai na KHudi ki hosh-mandi
mere sada sheron mein bhi hain 'ata' faraaz mani
inhin pastiyon mein DhunDo mare fikr ki bulandi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.