shoala-e-husn tur par dekha
sho.ala-e-husn tuur par dekhā
nuur meñ naar jalva-gar dekhā
husn kī be-niyāziyāñ na ga.iiñ
'ishq ko laakh ġham ba-sar dekhā
un kī pahlī sī bhī nazar na rahī
apnī girya kā ye asar dekhā
duur itnā hī maiñ huā ḳhud se
tujh ko nazdīk jis qadar dekhā
husn-e-āzād aur ba-qaid-e-hijāb
ham ne chāhā use jidhar dekhā
na banā āshnā kabhī na banā
charḳh ko laakh apnā kar dekhā
dil kī bastī ujaḌ ga.ī 'at.har'
ye fasāna bhī muḳhtasar dekhā
shoala-e-husn tur par dekha
nur mein nar jalwa-gar dekha
husn ki be-niyaziyan na gain
'ishq ko lakh gham ba-sar dekha
un ki pahli si bhi nazar na rahi
apni girya ka ye asar dekha
dur itna hi main hua KHud se
tujh ko nazdik jis qadar dekha
husn-e-azad aur ba-qaid-e-hijab
hum ne chaha use jidhar dekha
na bana aashna kabhi na bana
charKH ko lakh apna kar dekha
dil ki basti ujaD gai 'athar'
ye fasana bhi muKHtasar dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.