gali mein us tark-e-mah-jabin ke ajib ye inqilab dekha
gali mein us tark-e-mah-jabin ke ajib ye inqilab dekha
Aughat Shah Warsi
MORE BYAughat Shah Warsi
galī meñ us tark-e-mah-jabīñ ke 'ajīb ye inqilāb dekhā
namāz hindū ko paḌhte vā'iz ko ham ne piite sharāb dekhā
ġhanī hai vo mast-e-nāz merā hai us kī sarkār laao baalī
kabhī karam hai kisī pe be-had kabhī kisī par 'itāb dekhā
akele ham haiñ añdhere ghar meñ na farsh hai aur na koī yāvar
jo aañkh jhapkī bhī hijr kī shab to ye pareshān ḳhvāb dekhā
milā ye 'ishq butāñ kā samra ki Thokareñ khā.īñ chain khoyā
abhī qayāmat kā Dar alag hai pe jiite jī ye 'azāb dekhā
akelā baiThā thā merā yūsuf ki chhup ke ġhairoñ se ham bhī pahuñche
nasīb jaage to aaj ham ne yaar ko be-naqāb dekhā
nigāh vāris ne saiñkaḌoñ ko banāyā qatra se pal meñ dariyā
nazar jo aate the pahle zarre unhīñ ko phir āftāb dekhā
liyā hai jis din se nām-e-ulfat kahīñ na dam bhar ko chain paayā
ki ham ne 'aughat' dil-e-hazīñ ko hamesha pur-iztirāb dekhā
gali mein us tark-e-mah-jabin ke 'ajib ye inqilab dekha
namaz hindu ko paDhte wa'iz ko hum ne pite sharab dekha
ghani hai wo mast-e-naz mera hai us ki sarkar lao baali
kabhi karam hai kisi pe be-had kabhi kisi par 'itab dekha
akele hum hain andhere ghar mein na farsh hai aur na koi yawar
jo aankh jhapki bhi hijr ki shab to ye pareshan KHwab dekha
mila ye 'ishq butan ka samra ki Thokaren khain chain khoya
abhi qayamat ka Dar alag hai pe jite ji ye 'azab dekha
akela baiTha tha mera yusuf ki chhup ke ghairon se hum bhi pahunche
nasib jage to aaj hum ne yar ko be-naqab dekha
nigah waris ne sainkaDon ko banaya qatra se pal mein dariya
nazar jo aate the pahle zarre unhin ko phir aaftab dekha
liya hai jis din se nam-e-ulfat kahin na dam bhar ko chain paya
ki hum ne 'aughat' dil-e-hazin ko hamesha pur-iztirab dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.