Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

sahr hai nazdik munh dikhao ye sharm take hijab kab tak

Aughat Shah Warsi

sahr hai nazdik munh dikhao ye sharm take hijab kab tak

Aughat Shah Warsi

MORE BYAughat Shah Warsi

    sahr hai nazdīk muñh dikhāo ye sharm taake hijāb kab tak

    ye rāz-e-maḳhfī shakl ākHir khulegā band naqāb kab tak

    shab-e-judā.ī meñ roz aatī hai yaad zulf-e-dotā tumhārī

    kaho tum ki ai shakl-e-gesū dil-e-hazīñ pech-o-tāb kab tak

    'ivaz meñ sau sau jafāoñ ke bhī agar mujhe doge ek bosa

    ye dekhnā ki ḳhatm hogā mirā tumhārā hisāb kab tak

    husain jo maġhrūr husn par haiñ ḳhayāl un ko nahīñ ye shāyad

    ki ye bhī do din chāñd hai rahegā ahd-e-shabāb kab tak

    nahīñ hai kuchh sharm tum ko 'aughaT' jhukāo ab sar ḳhudā ke aage

    dar-e-butāñ par ye jab۔ha-sā.ī rahegī ākHir janāb kab tak

    sahr hai nazdik munh dikhao ye sharm take hijab kab tak

    ye raaz-e-maKHfi ki shakl aakHir khulega band naqab kab tak

    shab-e-judai mein roz aati hai yaad zulf-e-dota tumhaari

    kaho tum hi ki ai shakl-e-gesu dil-e-hazin pech-o-tab kab tak

    'iwaz mein sau sau jafaon ke bhi agar mujhe doge ek bosa

    ye dekhna ki KHatm hoga mera tumhaara hisab kab tak

    husain jo maghrur husn par hain KHayal un ko nahin ye shayad

    ki ye bhi do din ki chand hai rahega ahd-e-shabab kab tak

    nahin hai kuchh sharm tum ko 'aughaT' jhukao ab sar KHuda ke aage

    dar-e-butan par ye jab۔ha-sai rahegi aakHir janab kab tak

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now