main partaw-e-anwar-e-KHuda sirr-e-nihan hun
maiñ partav-e-anvār-e-ḳhudā sirr-e-nihāñ huuñ
'ālam meñ nishāñ jis kā nahīñ us kā nishāñ huuñ
sabr-dil 'āshiq kī tarh huuñ kabhī maḳhfī
gah-e-sūrat-e-husn-e-ruḳh-e-mā’shūq-e-’ayāñ huuñ
huuñ bazm-e-sharī'at meñ kabhī sadr-nashīñ bhī
aur dair-o-barhaman meñ kabhī mahv-e-butāñ huuñ
chillātā huuñ but-ḳhāna meñ gah-e-sūrat-e-nāqūs
huuñ shakl-e-muazzin kabhī āvāz-e-azāñ huuñ
vā'iz kā huuñ pairau kabhī zāhid kā muqallid
ki riñd huuñ aur mo'taqid-e-pīr-e-muġhāñ huuñ
jallād bhī huuñ aur kabhī mazlūm kī sūrat
huuñ zaḳhm-e-jigar aur kabhī nok-e-sināñ huuñ
kī jis ne hai 'aughaT' dar-e-vāris kī gadā.ī
vo kyuuñ na kahe ġhairat-e-shāhāñ jahāñ huuñ
main partaw-e-anwar-e-KHuda sirr-e-nihan hun
'alam mein nishan jis ka nahin us ka nishan hun
sabr-dil 'ashiq ki tarh hun kabhi maKHfi
gah-e-surat-e-husn-e-ruKH-e-ma’shuq-e-’ayan hun
hun bazm-e-shari'at mein kabhi sadr-nashin bhi
aur dair-o-barhaman mein kabhi mahw-e-butan hun
chillata hun but-KHana mein gah-e-surat-e-naqus
hun shakl-e-muazzin kabhi aawaz-e-azan hun
wa'iz ka hun pairau kabhi zahid ka muqallid
ki rind hun aur mo'taqid-e-pir-e-mughan hun
jallad bhi hun aur kabhi mazlum ki surat
hun zaKHm-e-jigar aur kabhi nok-e-sinan hun
ki jis ne hai 'aughaT' dar-e-waris ki gadai
wo kyun na kahe ghairat-e-shahan jahan hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.