dekh kar us but ko sakta kyun na ho
dekh kar us but ko sakta kyuuñ na ho
ik jahāñ mahv-e-tamāshā kyuuñ na ho
dekhte haiñ dekhne vaale tumheñ
koī sūrat koī naqsha kyuuñ na ho
jis ne chhoḌā dīn-o-duniyā kā ḳhayāl
donoñ 'ālam meñ yaktā kyuuñ na ho
raaz ifshā kar diyā mansūr ne
jā-bajā ab us kā charchā kyuuñ na ho
khul ga.ī apnī haqīqat jis ko vo
juz se kul qatra se dariyā kyuuñ na ho
jis ne dekhā chashm-e-haq-bīñ se tumheñ
vo tumhārā dil se banda kyuuñ na ho
aadmī 'aughaT' sā ho.e but-parast
us kī qismat meñ likhā thā kyuuñ na ho
dekh kar us but ko sakta kyun na ho
ek jahan mahw-e-tamasha kyun na ho
dekhte hain dekhne wale tumhein
koi surat koi naqsha kyun na ho
jis ne chhoDa din-o-duniya ka KHayal
donon 'alam mein yakta kyun na ho
raaz ifsha kar diya mansur ne
ja-baja ab us ka charcha kyun na ho
khul gai apni haqiqat jis ko wo
juz se kul qatra se dariya kyun na ho
jis ne dekha chashm-e-haq-bin se tumhein
wo tumhaara dil se banda kyun na ho
aadmi 'aughaT' sa hoe but-parast
us ki qismat mein likha tha kyun na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.