dekh kar banki ada ek bani-e-be-dad ki
dekh kar bāñkī adā ik bānī-e-be-dād kī
dil meñ dard aisā huā be-sāḳhta fariyād kī
ham uThā.eñ naaz tum ko ḳhush kareñ raazī rakheñ
tum na pūchho baat bhī mere dil-e-nāshād kī
aarzū thī ḳhaak bhī ho kar na chhoḌeñ kuue dost
tū ne ai bād-e-sabā miTTī mirī barbād kī
nakHvat-o-kHud-bīnī-o-kibr-o-ġhurūr-o-sarkashī
un hasīnoñ meñ haiñ ye sab ḳhaslateñ shaddād kī
niiñd bhī kam aa.ī dekhe ḳhvāb meñ kohsār bhī
jab kahānī raat ko ham ne sunī farhād kī
ek din bhūle se bhī yād-e-ḳhudā ham ne na kī
un butoñ kī 'āshiqī meñ zindagī barbād kī
mashġhala thā ai junūñ ye dasht aur kohsār meñ
turbateñ maiñ ne banā.īñ qais aur farhād kī
nīmcha chhoTā sā nāzuk haath us par kam-sinī
zaḳhm gar ochhe lage to kyā ḳhatā jallād kī
dāġh-e-dil zaḳhm-e-jigar soz-e-darūñ aur āh-e-sard
laa.e ye do-chār sauġhāteñ murādābād kī
kaam bigḌe ban ga.e mushkil se chhuTkārā huā
hazrat vāris ne jab 'aughaT' mirī imdād kī
dekh kar banki ada ek bani-e-be-dad ki
dil mein dard aisa hua be-saKHta fariyaad ki
hum uThaen naz tum ko KHush karen raazi rakhen
tum na puchho baat bhi mere dil-e-nashad ki
aarzu thi KHak bhi ho kar na chhoDen kue dost
tu ne ai baad-e-saba miTTi meri barbaad ki
nakHwat-o-kHud-bini-o-kibr-o-ghurur-o-sarkashi
un hasinon mein hain ye sab KHaslaten shaddad ki
nind bhi kam aai dekhe KHwab mein kohsar bhi
jab kahani raat ko hum ne suni farhad ki
ek din bhule se bhi yaad-e-KHuda hum ne na ki
un buton ki 'ashiqi mein zindagi barbaad ki
mashghala tha ai junun ye dasht aur kohsar mein
turbaten main ne banain qais aur farhad ki
nimcha chhoTa sa nazuk hath us par kam-sini
zaKHm gar ochhe lage to kya KHata jallad ki
dagh-e-dil zaKHm-e-jigar soz-e-darun aur aah-e-sard
lae ye do-chaar saughaten muradabaad ki
kaam bigDe ban gae mushkil se chhuTkara hua
hazrat waris ne jab 'aughaT' meri imdad ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.