wo hath aaen tere waiz kahan se
vo haath aa.eñ tere vā'iz kahāñ se
jo bai.at kar chuke pīr-e-muġhāñ se
kare vo 'ishq kā da'ava zabāñ se
na muñh moḌe jo teġh-e-imtihāñ se
azal meñ aur abad meñ farq kyā hai
vahīñ jā.eñge aa.e the jahāñ se
rasā.ī kyā is jān-e-jahāñ tak
hai aage jis kī manzil lā-makāñ se
ḳhudī chhoḌe miTai apnī hastī
kare jo dostī us be-nishāñ se
ḳham-e-abru pe maftūñ ho gayā dil
kyā us ne mujhe ghā.il kamāñ se
sitam kab tak uThā.ūñ un butoñ ke
jigar patthar kā maiñ laaoñ kahāñ se
nahīñ maqtal meñ us ne teġh tolī
uThāyā haath us ne imtihāñ se
ḳhudā kī bandagī 'aughaT' kareñ ab
ki dil ghabrā gayā jaur-e-butāñ se
wo hath aaen tere wa'iz kahan se
jo baiat kar chuke pir-e-mughan se
kare wo 'ishq ka da'awa zaban se
na munh moDe jo tegh-e-imtihan se
azal mein aur abad mein farq kya hai
wahin jaenge aae the jahan se
rasai kya is jaan-e-jahan tak
hai aage jis ki manzil la-makan se
KHudi chhoDe miTai apni hasti
kare jo dosti us be-nishan se
KHam-e-abru pe maftun ho gaya dil
kya us ne mujhe ghail kaman se
sitam kab tak uThaun un buton ke
jigar patthar ka main laon kahan se
nahin maqtal mein us ne tegh toli
uThaya hath us ne imtihan se
KHuda ki bandagi 'aughaT' karen ab
ki dil ghabra gaya jaur-e-butan se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.