tujhi ko jaan-e-jaan dair-o-haram mein jalwa-gar dekha
tujhi ko jaan-e-jaan dair-o-haram mein jalwa-gar dekha
Aughat Shah Warsi
MORE BYAughat Shah Warsi
tujhī ko jān-e-jāñ dair-o-haram meñ jalva-gar dekhā
tū hī har jā nazar aayā jahāñ dekhā jidhar dekhā
koī zohra-jabīñ dekhā koī rashk-e-qamar dekhā
sarāpā ḳhush-adā lekin tujhī ko sīm-bar dekhā
ye terī aañkh hai yā bāda-e-vahdat kā sāġhar hai
huā be-hosh-o-be-kHud jis ko tū ne ik nazar dekhā
lahad tak bhī na chhoḌā merā pīchhā dard-e-dil tū ne
na aisā saath dene vaalā maiñ ne 'umr-bhar dekhā
sunā hai shaiḳh jī aa.e haiñ kā'ba se chalo pūchheñ
nazar aayā ḳhudā bhī yā ḳhudā kā ḳhālī ghar dekhā
ye āñkheñ phuuT jaa.eñ gar kisī ko ik nazar dekheñ
tumheñ dekhā kareñgī aur tum hī ko 'umr-bhar dekhā
ziyārat kī kisī ne dair kī kā'ba gayā koī
ham apne ghar se jab 'aughaT' chale vāris kā dar dekhā
tujhi ko jaan-e-jaan dair-o-haram mein jalwa-gar dekha
tu hi har ja nazar aaya jahan dekha jidhar dekha
koi zohra-jabin dekha koi rashk-e-qamar dekha
sarapa KHush-ada lekin tujhi ko sim-bar dekha
ye teri aankh hai ya baada-e-wahdat ka saghar hai
hua be-hosh-o-be-kHud jis ko tu ne ek nazar dekha
lahad tak bhi na chhoDa mera pichha dard-e-dil tu ne
na aisa sath dene wala main ne 'umr-bhar dekha
suna hai shaiKH ji aae hain ka'ba se chalo puchhen
nazar aaya KHuda bhi ya KHuda ka KHali ghar dekha
ye aankhen phuT jaen gar kisi ko ek nazar dekhen
tumhein dekha karengi aur tum hi ko 'umr-bhar dekha
ziyarat ki kisi ne dair ki ka'ba gaya koi
hum apne ghar se jab 'aughaT' chale waris ka dar dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.