chale hain gesu sanwar kar wo kahin qayamat bapa karenge
chale hain gesu sanwar kar wo kahin qayamat bapa karenge
Aughat Shah Warsi
MORE BYAughat Shah Warsi
chale haiñ gesū sañvār kar vo kahīñ qayāmat bapā kareñge
kisī hamāre se be-ḳhatā ko asiir zulf-e-dotā kareñge
butoñ se vāqif huuñ sañg-dil haiñ kabhī na ḳhauf-e-ḳhudā kareñge
ġharaz ki bande haiñ be-muravvat ye jab kareñge daġhā kareñge
marīz-e-ulfat huuñ chāra-sāzo uThāo haath ab ḳhudā pe chhoḌo
laboñ pe dam aayā dard-e-dil kī tabīb ab kyā davā kareñge
ye maanā ḳhush-rū haiñ be-vafā bhī shi.ār jaur-o-sitam hai un kā
magar jo dil hī na deñge un ko to phir hamārā ye kyā kareñge
vahāñ hameñ kis kā ḳhauf hogā ḳhayāl aayā to dekh lenā
suneñge yuuñ sab butoñ kā shikva ḳhudā se roz-e-jazā kareñge
badal ke bhes apnā us kī mahfil meñ shab ko is vāste chaleñge
ki chupke ġhairoñ ke pīchhe baiThe ham un kī bāteñ sunā kareñge
butoñ ko ab yuuñ jalā.eñge ham kareñge un kā lihāz kab tak
unheñ dikhā kar unhī ke aage hamesha yād-e-ḳhudā kareñge
kiyā hai ye 'ahd un hasīnoñ ko deñge sau baar dīn-o-īmāñ
ḳhudā kī qasam kisī ko bhī na ab dil diyā kareñge
sunā hai islām chhoḌ deñge butoñ kī ḳhātir janāb-e-'aughaT’
ye baat achchhī nahīñ hai agar aisā kareñge burā kareñge
chale hain gesu sanwar kar wo kahin qayamat bapa karenge
kisi hamare se be-KHata ko asir zulf-e-dota karenge
buton se waqif hun sang-dil hain kabhi na KHauf-e-KHuda karenge
gharaz ki bande hain be-murawwat ye jab karenge dagha karenge
mariz-e-ulfat hun chaara-sazo uThao hath ab KHuda pe chhoDo
labon pe dam aaya dard-e-dil ki tabib ab kya dawa karenge
ye mana KHush-ru hain be-wafa bhi shiar jaur-o-sitam hai un ka
magar jo dil hi na denge un ko to phir hamara ye kya karenge
wahan hamein kis ka KHauf hoga KHayal aaya to dekh lena
sunenge yun sab buton ka shikwa KHuda se roz-e-jaza karenge
badal ke bhes apna us ki mahfil mein shab ko is waste chalenge
ki chupke ghairon ke pichhe baiThe hum un ki baaten suna karenge
buton ko ab yun jalaenge hum karenge un ka lihaz kab tak
unhen dikha kar unhi ke aage hamesha yaad-e-KHuda karenge
kiya hai ye 'ahd un hasinon ko denge sau bar din-o-iman
KHuda ki qasam kisi ko bhi na ab dil diya karenge
suna hai islam chhoD denge buton ki KHatir janab-e-'aughaT’
ye baat achchhi nahin hai agar aisa karenge bura karenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.