jis ko dekha kushta-e-andaz mashuqana hai
jis ko dekhā kushta-e-andāz mā'shūqāna hai
jo terī mahfil meñ hai ai sham' parvāna hai
har gadā meñ us galī ke shaukat-e-shāhāna hai
rashk-e-dārā hai jo darbān dar-e-jānāna hai
zikr-e-'ishq-o-'āshqī sun ke vo bolā bad-gumāñ
sab ye bāteñ haiñ banāvaT kī faqat afsāna hai
ham raheñ sahrā meñ aur dard-o-alam dil meñ raheñ
ham musāfir haiñ hamārā dil musāfir-kHāna hai
kufr aur islām se vā'iz nahīñ mujh ko ġharaz
dīn-o-īmāñ 'ishq hai millat mirī rindāna hai
kyā tasavvur un butoñ kā dil meñ rahtā hai mere
yā ilāhī dil hai merā yā koī but-ḳhāna hai
shaiḳh ko kā'ba mubārak barahman ko but-kada
riñd huuñ zāhid mujhe kaafī dar-e-mai-ḳhāna hai
sun ke fariyād-o-fuġhāñ merī vo bolā sañg-dil
kaun rotā hai ye kis kī āh-e-be-tābāna hai
uTh ke ham ko thaam le mahfil meñ vo maḳhmūr naaz
is tamannā par ye apnī laġhzish-e-mastāna hai
jis ko dekhā shāh-e-vāris ne huā be-hosh-o-mast
aañkh hai yā bāda-e-vahdat kā ye paimāna hai
sīna-kūbī dekh kar 'aughaT' kī bolā vo hasīñ
ye koī saudā.ī hai ḳhabtī hai yā dīvāna hai
jis ko dekha kushta-e-andaz ma'shuqana hai
jo teri mahfil mein hai ai sham' parwana hai
har gada mein us gali ke shaukat-e-shahana hai
rashk-e-dara hai jo darban dar-e-jaanana hai
zikr-e-'ishq-o-'ashqi sun ke wo bola bad-guman
sab ye baaten hain banawaT ki faqat afsana hai
hum rahen sahra mein aur dard-o-alam dil mein rahen
hum musafir hain hamara dil musafir-kHana hai
kufr aur islam se wa'iz nahin mujh ko gharaz
din-o-iman 'ishq hai millat meri rindana hai
kya tasawwur un buton ka dil mein rahta hai mere
ya ilahi dil hai mera ya koi but-KHana hai
shaiKH ko ka'ba mubarak barahman ko but-kada
rind hun zahid mujhe kafi dar-e-mai-KHana hai
sun ke fariyaad-o-fughan meri wo bola sang-dil
kaun rota hai ye kis ki aah-e-be-tabana hai
uTh ke hum ko tham le mahfil mein wo maKHmur naz
is tamanna par ye apni laghzish-e-mastana hai
jis ko dekha shah-e-waris ne hua be-hosh-o-mast
aankh hai ya baada-e-wahdat ka ye paimana hai
sina-kubi dekh kar 'aughaT' ki bola wo hasin
ye koi saudai hai KHabti hai ya diwana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.