ajab tafraqa ishq-bazi mein dekha
'ajab tafraqa 'ishq-bāzī meñ dekhā
ki ham haiñ kahīñ dil hamārā kahīñ hai
'ayāñ juz-o-kul meñ ye hai jis kā jalva
mere dil meñ poshīda vo mah-jabīñ hai
kareñ sair kyuuñ but-kada kī na vā'iz
vahāñ kyā ḳhudā kī ḳhudā.ī nahīñ hai
bahāna hai ye 'arsh aur lā-makāñ kā
haqīqat meñ vo mere dil kā makīñ hai
kyā jis ne ye haal 'aughaT' hamārā
jo dil le gayā muft vo ik hasīñ hai
'ajab tafraqa 'ishq-bazi mein dekha
ki hum hain kahin dil hamara kahin hai
'ayan juz-o-kul mein ye hai jis ka jalwa
mere dil mein poshida wo mah-jabin hai
karen sair kyun but-kada ki na wa'iz
wahan kya KHuda ki KHudai nahin hai
bahana hai ye 'arsh aur la-makan ka
haqiqat mein wo mere dil ka makin hai
kya jis ne ye haal 'aughaT' hamara
jo dil le gaya muft wo ek hasin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.