wahan wo hain bagh hai ghair hain bat mai hai jam-e-sharab hai
wahan wo hain bagh hai ghair hain bat mai hai jam-e-sharab hai
Aughat Shah Warsi
MORE BYAughat Shah Warsi
vahāñ vo haiñ baaġh hai ġhair haiñ bat mai hai jām-e-sharāb hai
yahāñ maiñ huuñ soz-e-firāq hai mirā siina ġham se kabāb hai
vo balā kā sho’bada-bāz hai ki 'ayāñ hai aur nihāñ bhī hai
ye usī kā jalva hai chār-sū magar us ke ruḳh pe naqāb hai
ye ġhazab hai dair-o-haram meñ sab kareñ sañg-bosī to ek sī
ye kahe hai vā'iz-e-kHud-ġharz vo savāb hai ye 'azāb hai
phirā ḳhālī haath jo nāma-bar hai yaqīn sunā.egā ye ḳhabar
vo rahe sukūt meñ der tak yahī ḳhat kā tere javāb hai
kare husn-o-'ishq meñ bahs kyā nahīñ vāqif 'aughaT-e-be-navā
ba-ḳhudā ki maktab-e-'ishq meñ abhī us kī pahlī kitāb hai
wahan wo hain bagh hai ghair hain bat mai hai jam-e-sharab hai
yahan main hun soz-e-firaq hai mera sina gham se kabab hai
wo bala ka sho’bada-baz hai ki 'ayan hai aur nihan bhi hai
ye usi ka jalwa hai chaar-su magar us ke ruKH pe naqab hai
ye ghazab hai dair-o-haram mein sab karen sang-bosi to ek si
ye kahe hai wa'iz-e-kHud-gharz wo sawab hai ye 'azab hai
phira KHali hath jo nama-bar hai yaqin sunaega ye KHabar
wo rahe sukut mein der tak yahi KHat ka tere jawab hai
kare husn-o-'ishq mein bahs kya nahin waqif 'aughaT-e-be-nawa
ba-KHuda ki maktab-e-'ishq mein abhi us ki pahli kitab hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.