uski zaban pe kyun na sada allah hu rahe
us kī zabāñ pe kyuuñ na sadā allāh hū rahe
jis kī nazar ke sāmne jab tū hī tū rahe
dekhā kiyā maiñ un ko sar-e-bazm is tarah
pahroñ vo be-naqāb mire rū-ba-rū rahe
pā.egā vo zarūr tujhe rāh-e-'ishq meñ
dil se agar kisī ko tirī justujū rahe
miT jā.ūñ un kī yaad is tarh ham-nashīñ
baaqī na maiñ rahūñ na mirī aarzū rahe
dil meñ kuchh aarzū hai to bas itnī aarzū
mehmāñ hamāre dil meñ faqat zāt-e-hū rahe
jaamī vo aaj ḳhāna-e-dil hī meñ mil ga.e
muddat se jin ko DhūñDhte ham kū-ba-kū rahe
us ki zaban pe kyun na sada allah hu rahe
jis ki nazar ke samne jab tu hi tu rahe
dekha kiya main un ko sar-e-bazm is tarah
pahron wo be-naqab mere ru-ba-ru rahe
paega wo zarur tujhe rah-e-'ishq mein
dil se agar kisi ko teri justuju rahe
miT jaun un ki yaad is tarh ham-nashin
baqi na main rahun na meri aarzu rahe
dil mein kuchh aarzu hai to bas itni aarzu
mehman hamare dil mein faqat zat-e-hu rahe
jami wo aaj KHana-e-dil hi mein mil gae
muddat se jin ko DhunDhte hum ku-ba-ku rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.