teri mahfil mein ye jaanana dekha
terī mahfil meñ ye jānāna dekhā
jise dekhā use parvāna dekhā
kisī parda-nashīñ kī justujū meñ
kabhī kā'ba kabhī but-ḳhāna dekhā
karāmat ye bhī hai pīr-e-muġhāñ kī
ki zāhid ne dar-e-mai-ḳhāna na dekhā
ye gibr-o-shaikH ke maz.hab meñ kab hai
jo lutf-e-mashrab-e-rindāna dekhā
hue sarshār-o-be-kHud shaiḳh sāhib
kaho faiz-e-dar-e-mai-kHāna dekhā
ḳhudā shāhid hai sach kahtā huuñ zāhid
butoñ meñ jalva-e-jānāna dekhā
usī ko har jagah mehmān paayā
usī ko ham ne sāhab-e-ḳhāna dekhā
rahī hasrat na sair-e-lā-makāñ kī
shah-e-vāris kā jab kāshāna dekhā
ḳhafā hone meñ bhī us gul ke 'aughaT'
'ajab ik nāz-e-mā’shūqāna dekhā
teri mahfil mein ye jaanana dekha
jise dekha use parwana dekha
kisi parda-nashin ki justuju mein
kabhi ka'ba kabhi but-KHana dekha
karamat ye bhi hai pir-e-mughan ki
ki zahid ne dar-e-mai-KHana na dekha
ye gibr-o-shaikH ke mazhab mein kab hai
jo lutf-e-mashrab-e-rindana dekha
hue sarshaar-o-be-kHud shaiKH sahib
kaho faiz-e-dar-e-mai-kHana dekha
KHuda shahid hai sach kahta hun zahid
buton mein jalwa-e-jaanana dekha
usi ko har jagah mehman paya
usi ko hum ne sahab-e-KHana dekha
rahi hasrat na sair-e-la-makan ki
shah-e-waris ka jab kashana dekha
KHafa hone mein bhi us gul ke 'aughaT'
'ajab ek naz-e-ma’shuqana dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.