de ke gham uff mah-jabin ishrat ka saman le chala
de ke gham uff mah-jabin ishrat ka saman le chala
Aughat Shah Warsi
MORE BYAughat Shah Warsi
de ke ġham uff mah-jabīñ 'ishrat kā sāmāñ le chalā
dil mirā zaḳhmī kiyā aur dīn-o-īmāñ le chalā
aan kar mulk-e-adam se maiñ ne ye saudā kiyā
dil diyā aur is jahāñ se 'ishq-e-ḳhūbāñ le chalā
kal jahāñ is dil ke hāthoñ se huī be-'izzatī
aaj phir ham ko usī mahfil meñ nādāñ le chalā
sar mirā ḳhud us ne kaaTā aake teġh-e-tez se
apnī gardan par ye maiñ qātil kā ehsāñ le chalā
shaad aur bashshāsh maiñ aayā thā bazm-e-yār meñ
jab chalā tū chashm-e-nam aur sīna-bariyāñ le chalā
kufr ab kā'ba meñ bhī phailā.egā 'aughaT' zarūr
dil meñ rakh kar un butoñ ko ye bad-īmāñ le chalā
de ke gham uff mah-jabin 'ishrat ka saman le chala
dil mera zaKHmi kiya aur din-o-iman le chala
aan kar mulk-e-adam se main ne ye sauda kiya
dil diya aur is jahan se 'ishq-e-KHuban le chala
kal jahan is dil ke hathon se hui be-'izzati
aaj phir hum ko usi mahfil mein nadan le chala
sar mera KHud us ne kaTa aake tegh-e-tez se
apni gardan par ye main qatil ka ehsan le chala
shad aur bashshash main aaya tha bazm-e-yar mein
jab chala tu chashm-e-nam aur sina-bariyan le chala
kufr ab ka'ba mein bhi phailaega 'aughaT' zarur
dil mein rakh kar un buton ko ye bad-iman le chala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.