ada par koi marta hai koi maftun hai chitwan par
adā par koī martā hai koī maftūñ hai chitvan par
hazāroñ ke gale kaTte haiñ un ke husn-o-jauban par
ham hī ko qatl karte haiñ ham hī se kahe jaate haiñ
rahegā hashr tak ye bār-e-ehsāñ terī gardan par
samajh kar khel maqtal meñ uThāyā nīmcha jis dam
lage hañsne vahāñ zaḳhm-e-qātil ke laḌakpan par
sitam ījād hai zālim adā se qatl karatā hai
gale milne meñ rakh dī teġh-e-abrū merī gardan par
ye Dar hai dāvar-e-mahshar se gar dād-e-sitam chāhūñ
ḳhudā ko rahm aa jaa.e na qātil ke laḌakpan par
raqīboñ kā muqaddar kaash mil jaatā mujhe 'aughaT'
kabhī to fātiha paḌhne vo aate mere madfan par
ada par koi marta hai koi maftun hai chitwan par
hazaron ke gale kaTte hain un ke husn-o-jauban par
hum hi ko qatl karte hain hum hi se kahe jate hain
rahega hashr tak ye bar-e-ehsan teri gardan par
samajh kar khel maqtal mein uThaya nimcha jis dam
lage hansne wahan zaKHm-e-qatil ke laDakpan par
sitam ijad hai zalim ada se qatl karata hai
gale milne mein rakh di tegh-e-abru meri gardan par
ye Dar hai dawar-e-mahshar se gar dad-e-sitam chahun
KHuda ko rahm aa jae na qatil ke laDakpan par
raqibon ka muqaddar kash mil jata mujhe 'aughaT'
kabhi to fatiha paDhne wo aate mere madfan par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.