koi bashar na jahan mein jo mubtala-e-firaq
koī bashar na jahāñ meñ jo mubtalā-e-firāq
ḳhudā ke qahr se kuchh kam nahīñ balā-e-firāq
halāk dam meñ jo insāñ ko be-ajal kar de
na aisā dard-o-ġham hai koī sivā-e-firāq
hazār sadme haiñ kam ek hijr ke gam se
ḳhudā kisī ke na dushman ko bhī dikhā.e firāq
kahīñ baḌī hai qayāmat ke din se hijr kī shab
koī bayān nahīñ kar saktā ibtidā-e-firāq
kaleja 'āshiq-e-ġhamgīñ kā roz khātā hai
ḳhudā ne kī hai muqarrar yahī ġhizā-e-firāq
sivā-e-sharbat-e-dīdār yaar ai 'aughaT'
jahāñ meñ aur nahīñ hai koī davā-e-firāq
koi bashar na jahan mein jo mubtala-e-firaq
KHuda ke qahr se kuchh kam nahin bala-e-firaq
halak dam mein jo insan ko be-ajal kar de
na aisa dard-o-gham hai koi siwa-e-firaq
hazar sadme hain kam ek hijr ke gam se
KHuda kisi ke na dushman ko bhi dikhae firaq
kahin baDi hai qayamat ke din se hijr ki shab
koi bayan nahin kar sakta ibtida-e-firaq
kaleja 'ashiq-e-ghamgin ka roz khata hai
KHuda ne ki hai muqarrar yahi ghiza-e-firaq
siwa-e-sharbat-e-didar yar ai 'aughaT'
jahan mein aur nahin hai koi dawa-e-firaq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.