’ayan kis jagah tera jalwa nahin hai
’ayan kis jagah tera jalwa nahin hai
Shah Ameen Ahmad Firdausi
MORE BYShah Ameen Ahmad Firdausi
'ayāñ kis jagah terā jalva nahīñ hai
vo lekin mujhe chashm-e-bīnā nahīñ hai
nigāh-e-talattuf ko hargiz na kam kar
sitam is se koī ziyāda nahīñ hai
jo chāhe sitam kar gavāra hai mujh ko
magar terī furqat gavārā nahīñ hai
hai taa.at pe maġhrūr nādān zāhid
tare sub.ha meñ raam daanā nahīñ hai
rah-e-manzil-e-dil na kyuuñ kar ho mushkil
ye paañv se jaane kā rasta nahīñ hai
tujhe bahr-e-ġham se guzar ne ko ai 'shauq'
hamārī ġhazal kā safīna nahīñ hai
'ayan kis jagah tera jalwa nahin hai
wo lekin mujhe chashm-e-bina nahin hai
nigah-e-talattuf ko hargiz na kam kar
sitam is se koi ziyaada nahin hai
jo chahe sitam kar gawara hai mujh ko
magar teri furqat gawara nahin hai
hai taat pe maghrur nadan zahid
tare subha mein ram dana nahin hai
rah-e-manzil-e-dil na kyun kar ho mushkil
ye panw se jaane ka rasta nahin hai
tujhe bahr-e-gham se guzar ne ko ai 'shauq'
hamari ghazal ka safina nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.