azal se qafila ab tak rawan hai
azal se qāfila ab tak ravāñ hai
nahīñ ma.alūm kuchh jaanā kahāñ hai
bahut dil-bastagī us se na kariye
jahān-e-rañg-o-bū vahm-o-gumāñ hai
ka.ī din se hai dil meñ ek uljhan
nahīñ ma.alūm kyā rāz-e-nihāñ hai
zabān-e-shauq kī dekho balāġhat
ḳhamoshī meñ nihāñ sad dāstāñ hai
koī me.ayār hī baaqī nahīñ ab
jise dekho vo mīr-e-kārvāñ hai
jabīn-e-shauq hai maa.il ba-sajda
ḳhudā-vandā ye kis kā āstāñ hai
sambhal kar baiThiyegā shaiḳh sāheb
‘sa.īd’ shā.er-e-jādū-bayāñ hai
azal se qafila ab tak rawan hai
nahin malum kuchh jaana kahan hai
bahut dil-bastagi us se na kariye
jahan-e-rang-o-bu wahm-o-guman hai
kai din se hai dil mein ek uljhan
nahin malum kya raaz-e-nihan hai
zaban-e-shauq ki dekho balaghat
KHamoshi mein nihan sad dastan hai
koi meayar hi baqi nahin ab
jise dekho wo mir-e-karwan hai
jabin-e-shauq hai mail ba-sajda
KHuda-wanda ye kis ka aastan hai
sambhal kar baiThiyega shaiKH saheb
‘said’ shaer-e-jadu-bayan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.