na kuchh aap mujhse mera haal puchhen kiya na-tawan zoaf-e-gham ne yahan tak
na kuchh aap mujhse mera haal puchhen kiya na-tawan zoaf-e-gham ne yahan tak
Azal Shahjehanpuri
MORE BYAzal Shahjehanpuri
na kuchh aap mujh se mirā haal pūchheñ kiyā nā-tavāñ zo.af-e-ġham ne yahāñ tak
par-o-bāl bhī paas hote suhāte na pahuñchā gayā ars-e-āshiyāñ tak
ye me.arāj-e-ulfat nahii. hai to kyā hai ki pastī ne paa.ī bulandī yahāñ tak
milā charḳh se baḌh ke dāmāñ-getī ga.ī uḌ ke ḳhāk-e-zamīñ āsmāñ tak
guzārī bhī tanhā rahe bhī akele sitam bhī uThā.e musībat bhī jhele
ye ulfat kī majbūriyoñ ke jhele ki harf-e-shikāyat na laa.e zabāñ tak
pahuñchtā to un ko zarar kyuuñ pahuñchtā javānān-e-gulshan se kyā vāsta thā
ġharaz barq ko thī mare āshiyāñ se girī par rahī āshiyāñ tak
kahāñ jazb-e-dil ne karishme dikhā.e vafāoñ ke jauhar kahāñ kaam aa.e
pa.e fātiha kab vo tashrīf laa.e na baaqī rahā qabr kā jab nishāñ tak
ta.ajjub hī kyā aañkh agar nam nahii. hai vo ashk-e-musalsal kā a.alam nahii. hai
chaman ke ujaḌne hī kā ġham nahii. hai nazar meñ hai barbādī-e-āshiyāñ tak
ye kaalī ghaTā.eñ ye ThanDī havā.eñ ye ḳhush-rañg phūlūñ kī dil-kash adā.eñ
ye gulshan ye gulshan kī rañgīñ fazā.eñ raheñgī hameñ yaad ahd-e-ḳhizāñ tak
qiyāmat ye kyā dast-e-vahshat Dhaa.ī dahā.ī dahā.ī dahā.ī dahā.ī
bahār-e-chaman qā.ede se na aa.ī ki uḌne lagīñ jeb kī dhajjiyāñ tak
bahut ājizī kī mirī chashm-e-tar ne na chhoḌā magar zulm bedād-gar ne
ruḳh apnā jo palTā zarā us nazar ne azal ḳhaak jal kar huā āshiyāñ tak
na kuchh aap mujh se mera haal puchhen kiya na-tawan zoaf-e-gham ne yahan tak
par-o-baal bhi pas hote suhate na pahuncha gaya ars-e-ashiyan tak
ye mearaj-e-ulfat nahi hai to kya hai ki pasti ne pai bulandi yahan tak
mila charKH se baDh ke daman-geti gai uD ke KHak-e-zamin aasman tak
guzari bhi tanha rahe bhi akele sitam bhi uThae musibat bhi jhele
ye ulfat ki majburiyon ke jhele ki harf-e-shikayat na lae zaban tak
pahunchta to un ko zarar kyun pahunchta jawanan-e-gulshan se kya wasta tha
gharaz barq ko thi mare aashiyan se giri par rahi aashiyan tak
kahan jazb-e-dil ne karishme dikhae wafaon ke jauhar kahan kaam aae
pae fatiha kab wo tashrif lae na baqi raha qabr ka jab nishan tak
tajjub hi kya aankh agar nam nahi hai wo ashk-e-musalsal ka aalam nahi hai
chaman ke ujaDne hi ka gham nahi hai nazar mein hai barbaadi-e-ashiyan tak
ye kali ghaTaen ye ThanDi hawaen ye KHush-rang phulun ki dil-kash adaen
ye gulshan ye gulshan ki rangin fazaen rahengi hamein yaad ahd-e-KHizan tak
qiyamat ye kya dast-e-wahshat Dhai dahai dahai dahai dahai
bahaar-e-chaman qaede se na aai ki uDne lagin jeb ki dhajjiyan tak
bahut aajizi ki meri chashm-e-tar ne na chhoDa magar zulm bedad-gar ne
ruKH apna jo palTa zara us nazar ne azal KHak jal kar hua aashiyan tak
- Book : Nirala, Lahore, June 1946 (Pg. 27)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.