de diya hai dil-o-jigar usko
de diyā hai dil-o-jigar us ko
jaan kar ye ki bā-vafā hogā
ba.ad marne ke kis ko kis kā patā
ḳhaak meñ jism mil gayā hogā
ḳhair se aaj kaT ga.ī hai umr
dekhiye kal ke rose kyā hogā
husn par hai tumheñ ġhurūr bahut
ik na ik rose ye fanā hogā
rañj hai fikr hai taraddud hai
tum na hoge to aur kyā hogā
nāma-bar ne diyā jo thā kal ḳhat
dil meñ mere likhā huā hogā
ishq kī raah se nahii. mumkin
ek insān bhī bachā hogā
ik amal hī ba-roz-e-hashr 'az.har'
tosha-e-āqibat terā hogā
de diya hai dil-o-jigar us ko
jaan kar ye ki ba-wafa hoga
baad marne ke kis ko kis ka pata
KHak mein jism mil gaya hoga
KHair se aaj kaT gai hai umr
dekhiye kal ke rose kya hoga
husn par hai tumhein ghurur bahut
ek na ek rose ye fana hoga
ranj hai fikr hai taraddud hai
tum na hoge to aur kya hoga
nama-bar ne diya jo tha kal KHat
dil mein mere likha hua hoga
ishq ki rah se nahi mumkin
ek insan bhi bacha hoga
ek amal hi ba-roz-e-hashr 'azhar'
tosha-e-aqibat tera hoga
- Book : Jazbat-e-Azhar (Pg. 22)
- Author : Azhar Hashmi
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.