ab tak to mujhko jo bhi mila be-wafa mila
ab tak to mujh ko jo bhī milā be-vafā milā
kī justujū bahut na koī dilrubā milā
ab tak jafā-shi.ār milā be-vafā milā
is āshiqī kā ḳhuub hī achchhā salā milā
dil-soz mohabbat se to jaltā huā milā
lekin dhuāñ kabhī kabhī na uThtā huā milā
ik ek aadmī ko hai dekhā qarīb se
duniyā maiñ aaj tak na koī bā-vafā milā
khojā kahāñ kahāñ use DhūñDhā kahāñ kahāñ
mujh ko magar na aaj tak us kā patā chalā
ai mere dost ai mire hamdard-o-rafīq
dil ko mire dikhā ke batā tujh ko kyā milā
vo mujh se kyā mile ki ye duniyā hī mil ga.ī
'az.har' jo chāhte the vahī mudda.ā milā
ab tak to mujh ko jo bhi mila be-wafa mila
ki justuju bahut na koi dilruba mila
ab tak jafa-shiar mila be-wafa mila
is aashiqi ka KHub hi achchha sala mila
dil-soz mohabbat se to jalta hua mila
lekin dhuan kabhi kabhi na uThta hua mila
ek ek aadmi ko hai dekha qarib se
duniya main aaj tak na koi ba-wafa mila
khoja kahan kahan use DhunDha kahan kahan
mujh ko magar na aaj tak us ka pata chala
ai mere dost ai mere hamdard-o-rafiq
dil ko mere dikha ke bata tujh ko kya mila
wo mujh se kya mile ki ye duniya hi mil gai
'azhar' jo chahte the wahi muddaa mila
- Book : Jazbat-e-Azhar (Pg. 29)
- Author : Azhra Hashmi
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.