wo na aaya yunhi rah takta raha
vo na aayā yūñhī raah taktā rahā
raat Dhaltī rahī dil machaltā rahā
naam le le ke us kā maiñ jiitā rahā
merī be-chārgī par vo hañstā rahā
kyā batā.ūñ shab-e-hijr kī dāstāñ
raat saarī hī jī jī ke martā rahā
bārgāh-e-ḳhudā meñ uThā kar ke haath
maiñ duā rose baḳhshish kī karatā rahā
be-ḳhudī mujh ko le aa.ī kis moḌ par
apne saa.e se bhī meñ to Dartā rahā
dil ke hāthoñ meñ majbūr 'az.har' huuñ ab
ki jafā par vafā us kī karatā rahā
wo na aaya yunhi rah takta raha
raat Dhalti rahi dil machalta raha
nam le le ke us ka main jita raha
meri be-chaargi par wo hansta raha
kya bataun shab-e-hijr ki dastan
raat sari hi ji ji ke marta raha
bargah-e-KHuda mein uTha kar ke hath
main dua rose baKHshish ki karata raha
be-KHudi mujh ko le aai kis moD par
apne sae se bhi mein to Darta raha
dil ke hathon mein majbur 'azhar' hun ab
ki jafa par wafa us ki karata raha
- Book : Jazbat-e-Azhar (Pg. 33)
- Author : Azhar Hashmi
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.