munh chhupa kar raat bhar rota hai kya
muñh chhupā kar raat bhar rotā hai kyā
umr us kī yaad meñ khotā hai kyā
munsifī hai haath meñ munsif haiñ jo
dekhnā hai faisla hotā hai kyā
dil ke armānoñ ko dil meñ qaid rakh
chāhtā hai jo bhī vo hotā hai kyā
ek paudā bhī nahīñ ug pā.egā
to zamīn-e-sañg meñ botā hai kyā
jo ḳhushī se mast haiñ sarshār haiñ
kyā ḳhabar un ko ki ġham hotā hai kyā
bhuul jā guzrī huī bāteñ 'az.har'
bojh ġham kā raat din Dhotā hai kyā
munh chhupa kar raat bhar rota hai kya
umr us ki yaad mein khota hai kya
munsifi hai hath mein munsif hain jo
dekhna hai faisla hota hai kya
dil ke armanon ko dil mein qaid rakh
chahta hai jo bhi wo hota hai kya
ek pauda bhi nahin ug paega
to zamin-e-sang mein bota hai kya
jo KHushi se mast hain sarshaar hain
kya KHabar un ko ki gham hota hai kya
bhul ja guzri hui baaten 'azhar'
bojh gham ka raat din Dhota hai kya
- Book : Jazbat-e-Azhar (Pg. 37)
- Author : Azhar Hashmi
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.