Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

bāġh-e-jahāñ ke gul haiñ yā ḳhaar haiñ to hum haiñ

Khwaja Meer Dard

bāġh-e-jahāñ ke gul haiñ yā ḳhaar haiñ to hum haiñ

Khwaja Meer Dard

MORE BYKhwaja Meer Dard

    bāġh-e-jahāñ ke gul haiñ ḳhaar haiñ to ham haiñ

    gar yaar haiñ to ham haiñ aġhyār haiñ to ham haiñ

    dariyā-e-ma.arifat ke dekhā to ham haiñ sāhil

    gar vaar haiñ to ham haiñ aur paar haiñ to ham haiñ

    vābasta hai hamīñ se gar jabr hai o gar qadr

    majbūr haiñ to ham haiñ muḳhtār haiñ to ham haiñ

    terā husn jag meñ har-chand maujzan hai

    tis par bhī tishna-kām-e-dīdār haiñ to ham haiñ

    alfāz-e-ḳhalq ham bin sab mohmilāt se the

    ma.anī tarah rabt-e-guftār haiñ to ham haiñ

    auroñ se to girānī yak-laḳht uTh ga.ī hai

    ai 'dard' apne dil ke gar baar haiñ to ham haiñ

    bāġh-e-jahāñ ke gul haiñ ḳhaar haiñ to hum haiñ

    gar yar haiñ to hum haiñ aġhyār haiñ to hum haiñ

    dariyā-e-marifat ke dekhā to hum haiñ sāhil

    gar war haiñ to hum haiñ aur par haiñ to hum haiñ

    wābasta hai hamīñ se gar jabr hai o gar qadr

    majbūr haiñ to hum haiñ muḳhtār haiñ to hum haiñ

    terā husn jag meñ har-chand maujzan hai

    tis par bhī tishna-kām-e-dīdār haiñ to hum haiñ

    alfāz-e-ḳhalq hum bin sab mohmilāt se the

    manī tarah rabt-e-guftār haiñ to hum haiñ

    auroñ se to girānī yak-laḳht uTh gaī hai

    ai 'dard' apne dil ke gar bar haiñ to hum haiñ

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now